Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Saturday, April 24, 2010

Saba...


Photo courtesy: Sandip Bhattacharya






ye rang hai ki dhoop hai
khili hai ya bikhar gayi
hai os ya ki dhundh hai
udi hai ya utar gayi

kisi ki ankho se ude,
kisi pe aa utar gaye
ye sapne hai ki titliya
hai hanste ya ke dar gaye

bandhe nahi khule nahi
ruke hai ya guzar gaye
ye lamhe hai ki ret hai
hai phisle ya teher gaye

kadam k hai nishan ye
ya chaav hai ummed ki
hai laute ya he gumshuda
safar pe hai ya ghar gaye



Tuesday, April 20, 2010

Ankahee


Zindagi k manzar
Aankho k aage se aise guzarte hai
Jaise koi unmana sa bachcha
Daant k dar se
Panne palat raha ho kitab k
Shabd dikhte nahi
Par aankho k aage se chalte jate hain
Kai pal, yun hi bewajah
Barbaad…
Dhool si udti hai kuch
In panno se,
Kai dino se khule nahi
Seeli se mehek
Alag hote kaghaz k tukde…
Khadi rehti hu me bhi aise hi
Jaise kahi pe waqt theher jata hai
Aur phir aankho k same se
Log, pal, manzar, manzile…
Sab nikalte rehte hai
Par sudh nahi hoti
Ki ja raha hai kuch
Ya ye ki main thehri hun
Chalet jate hai kadam
Par rasta pata nahi hota
Ek khalipan
Jo sukoon deta hai
Main akeli nahi hu
Log hain
Par jodna padta hai khud ko
Jaan bujh kar
Aur jab kisi se vassta nahi hota
Tab khud ko sunti hu
Khamoshi me araam
Tanhai ka sukoon
Duniya ka tamasha
Mujhe bioscope ka khel lagta hai
Jaise koi ghuma raha hai tasveero ko
Aur main dekhti hu
Par awaaze nahi sunayi deti
Aur main usme shabd bharti hu…
Phir, chup chaap, aage badh jate hai kadam
Aur itni kahaniyo se bhari duniya
Aur log
Meri aankho k aage se guzarte jate hain
Kabhi padhti hu
Aur kbhi, unmane
Paltte jate hai panne
Apne andar unsuni kahaniya samete…

Bebasi

Badi bebasi hai, kahi kho gayi hai
Wo duiya jaha ankh kholi thi maine
Wo galiya, wo raste, wo ghar wo dukane,
Nahayi hui dhool me garm shame
Wo thandi bayare bhari chandni me
Wo loo k thapedo me thande se kamre.

mai june me jab paseena tapakta
kati bijli me mombatti jalana
thahako ki mehfil me garmi bhula k
purani kisi film k gane gana
bade besure rag lagte the lekin
dadi hamesha bajti thi tali
waha jaan k khud ko rani suro ki
andhere me khud pe zara itrana.

Kaha hai mayassar tang shehro me chhat ab
Wo tha daur jab chhat pe din raat beete
Kabhi dhoop aur kabhi badal udaye
Kabhi barishe kabhi jugnoo sajaye
Bhare sapno wali wo nadaan aankhe
Kshitij me thikana kahi dhundhti thi.

Khud ko shehenshah samajh k gali ka
Sadak ko khel ka maidan banana
Bina bole ghar me gali me bhag jana
Phir der sham tak bahar rehne ka shauk
Chaar baar bulane par man masos kar
Dhali sham ghar me aana
Phir padhai se bachne k bahane dhundna
aur jab koi bahana kaam na aaye…
table pe baith k khayali patang udana.

Teen rupaye ki ice cream k liye,
Terah logo ki sifarish,
Do manzil k ghar me
Upar neeche, kahi to koi mile;
School ho ya ghar, pdhne ki zarurat nahi
Wo to bado ka sirdard tha ki kaise padhaye

Bas ek dar us bachpan ka,
Report Card…
Result k pehle k wo din
Har roz agarbatti jalan….
Par dant k alava kabhi fail karne me koi aur dar nahi laga…
Aaj, zindgi har roz imtehan leti hai,
Besure gano ki tariff koi nahi karta,
Aur kshitij ki sachchai bhi pata chal chuki hai…
Ab fail hone pe dant nahi padti,
Par dar lagta hai
Kyoki aur koi rasta nahi
Yaha class repeat nahi hoti,
Fail ka matlab hamesha k liya fail.
Koi apni gali nahi,
Aur ghar me bhi sab badla badla sa hai
Purane chehre ab pados me nahi dikhte
Na hi wo gali hai pehle jaisi.
Mera apna sheher mujhe anjaan lagta hai,
Sochti hu ki kya wo sach tha meri zzindgi ka jo guzar gaya
Ya ye hai jo aaj hai…
Ya phir dono hi sach hai..
Main ghar ko chod k bhi chod nahi paayi
Aur raste pe chal k bhi chal nahi rahi…
Meri manzil abhi bahut door hai;
Aura b to apna ghar bhi dur nazar aata hai