Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, July 9, 2010

Dry Flowers


The trees and the plants of my child hood, and fond memory of my friends,

Non existant pieces of past... today rest under the concrete... hardened.


I look through shapes of spades and diamonds, for a dream misplaced by the wind...

Lost in the gamble of life my heart, gone is the esence but the flower remains...


Dried flowres... life less, but pretty, are now trying to fake a grin,

This is where my garden lived, this is where my hope ends.


Just one more shade of the same gulmohar, one more shower of that rain...

I will start afresh for a new horizon, a new journey once again...


Friday, July 2, 2010



Khushboo se sarabor hai mere ghar ka ek kona,
Jane ye kiski yaad hai jo mogre me jaa mili...

Thursday, July 1, 2010

Diware




Tuti khidki ke jale gatto se dhak kar ke,
Aaj maine apne ghar me aane wali hawa bhi rok di hai
Is chaardiwari me us duniya ka khayaal bhi na aaye
Isliye diware chhat se jada zaruri hai…

Is diwar ke us taraf ke log alag hai
Unki galti hai ki mere ghar ki chhat tuti hai
Int patthar ke saude kiye maine diwaro ke liye
Kyoki diware chhat se jada zaruri hai

Ab is hawa me mera hissa do,
Kyoki jo hawa unke galiyare se aati hai,
Usme main saans nahi le sakta.
Mere ghar pe patthar phenka tha usne…
Isliye diware chhat se jada zaruri hai.

Kaun kehta hai muhafiz hai wo mere bolo,
Mujhpe ahsaan kar ke aaj gunah dhone aaye?
Unko keh do ki yaha mafi nahi, sirf nafrat milegi…
Meri ranjish mujhe teri hansi se pyaari hai.

Ye ranjish kahi unki bato se na dhul jaye
Isliye diware chhat se jada zaruri hai.


(dedicate to all of us who are so fond of dividing that we forget, God never created divisions, just differences, which can be reduced, or magnified... depending on one's wish)