Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Sunday, March 20, 2011

Jaale...


Photo Courtesy: Sandip Bhattacharya


mahin resham se dhage,

makde ke jale ko dekho, resham se alag nahi...

phir kaise ye mahin soot bandh lete kisi ki udan ko...

aur bandhan bhi aisa ki jitna nikalne ki koshish karo, utna uljhata jaye...

kya ye makdiya tez hai bahut, ya maine samay par jale saaf nahi kiye?

...har taraf jaal hai, resham se dikhte hai,

dhoop me chamakte hai,

par uljhan hai...