Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, July 8, 2011

Thake hatho se kaise khat tumhare naam pe likhe..

Likhe jazbat ya k bas khayalato pe khat likhe.

Marasim me sach ko dhundhti tanha teri aankhe,

likhe un ankho pe ya k marasim pe ye khat likhe...


Ya wo likhe jo tera sang me lamhe guzare the,

ya phir wo dard likhe jo nazar tujhko kiye maine...


Likhhe mausam ke naam pe ya haale dil pe khat lilkhe,

sheher ke shor pe ya phir ki tanha man pe khat likhe...


Tumhara haal kya puche kaha sach bolte ho tum,

na tumne poocha hi ki haal pe apne hi khat likhe...


Jo teri khair rakhte hai, tu unki fikar rakh lena,

tumhare naam pe alfaz itne se hi bas likhe

Sunday, July 3, 2011

Kaise kahe tanha ujala dhundhte hai hum,
ye raat dilruba nahi par humsafar to hai...

Ik dard hi sahi koi apna to hai magar,
duniya me teri yun to akele hi sab chale.

Insan jo kuch nahi hai gume ishq ke bina,
wo ishq ke dago ko kaise dagh bhi kahe.

Hasart hai dekhne ki magar milne ki nahi,
kyo ho shikayat wo nazar chura k jo chale.

Hai shauk ik ye bhi ki khelte hain khud se hum,
tum ruthte ho kyo tumse to nahi khele...

Sach aur bharam me mere ik khwab ki lakir,
sapno ki yari hai zara mehfil to ab chale...