Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Saturday, January 28, 2012

Sehra...

Haal pe ab malal hai ki sukoon nahi aata,...
Jane kya lailaj marz hai nahi jata...

kabhi talasta hai jab wo nazar nahi aata,
puchta aasman se hai wo kyo nahi aata...

magar phir dekh ke usko bhi berukhi hi rahe...
haal kya roye jab dil khud se bhi khud ki na kahe...

mausam badalta nahi,
aasman meherban hona chahe bhi to kya...

kaha sehra me barisho se phul khilte hain...




Thursday, January 5, 2012

sard hawa

Sari raat chhante rahe sard hawa...

Darwaze ke surakho se

dheeme se chal kar

sondhi si khushboo wali

bin bulaye mehman si...

jaise abhi abhi dhul ke aayi ho kisi barf k badal se

aur sidhe meri khidki pe utri

kuch bunde os ki saath le kar

chuchap utari meri mez par

subah tak, takiye ke saath seet ki kinari hoti hai

aur os ke moti khidki ke sheeshe ke baithe hue

bulate hai ek aur dillagi wali subah me...