Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, June 12, 2015

ज़िन्दगी फिर से तेरी बज़्म में आना है मुझे



ज़िन्दगी फिर से तेरी बज़्म में आना है मुझे,
और रुसवाइयों का बोझ उठाना है मुझे …

ख्वाहिशों मुझसे थोड़ी दूरी बनाये रखो
अभी कुछ और ख़्वाबों को सुलाना है मुझे.

मेरे हिस्से की ज़लालत को संभाले रखना,
ज़रा कुछ दूर बेआरज़ू  जाना है मुझे.

कोई रिश्ता नहीं है तेरी सेहर से मेरा …
मेरी इस रात को स्याही में मिलाना है मुझे…

सीम-ओ-ज़र से न यूँ तोला करो इन हसरतों को,
ये दाग़ इश्क़ के दामन पे, मिटाना है मुझे…

सुर्ख हो या की सब्ज़, तेरे गुलशन तेरे हैं,
मैं तो मिटटी हूँ, ज़र्रों में मिल जाना है मुझे…

~ सबा



zindagi phir se teri bazm me ana hai mujhe
aur ruswaiyon ka bojh uthana hai mujhe

khwahishon mujhese thodi doori banaye rakho
abhi kuch aur khwabon ko sulana hai mujhe

mere hisse ki zalalat ko sambhale rakho
zara kuch door, be-aarzoo jana hai mujhe

koi rishta nahi hai teri seher se mera
meri is raat ko syahi me milana hai mujhe

seem-o-zar se na yun tola karo in hasraton ko
ye daagh ishq ke daman pe, mitana hai mujhe...

surkh ho ya ki sabz, tere gulshan tere hain bas
main to mitti hun, zarron me mil jana hai mujhe


~ Saba