Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Saturday, July 4, 2015

दो चार कदम

दो चार कदम ही चल लेते 
मंज़िल के निशान के आने तक 
कुछ दूर और तो चल लेते 
उस सूरज के ढल जाने तक. 

चुप चाँद सिरहाने बैठेगा 
अब तारों के छुप जाने तक,
तुम आ जाते तो जी लेते,
ये फूल भी सब मुरझाने तक. 

खामोश रहेंगे ये साये 
अब बादल के बतियाने तक ;
तुम होते तो दिल लग जाता,
फिर से बहार के आने तक… 

~ सबा 




do chaar kadam to chal lete
manzil ke nishan ke aane tak,
kuchh door aur to chal lete, 
us suraj ke dhal jane tak...

chup chand sirhane baithega
ab taron ke chhup jane tak
tum aa jate to ji lete
ye phool bhi sab murjhane tak... 

khamosh rahenge ye saaye
ab baadal ke batiyane tak...
tum hote to dil lag jata 
phir se bahaar ke aane tak... 

~ Saba