Subah ke khwab se chura ke kuch bunde os ki... Maine sham ka daman bhrne ko saamaan jutaya hai.
Ehsas
Ehsas ke saath
Afsos bhi hota hai...
Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,
Aur hansi bhi...
Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,
Hansi hi aayi...
Aansu barish ban ke
Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,
Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me
- Saba
- Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...
Friday, December 23, 2011
Echo
Har ek din ek saans aur zaya
Wohi kahani hai har raat ki
Thaki aankhe aur bojh khwabo ka
Din to guzar jata hai teri bheed me sar phodte hue
Khali lamhe khud k saath guzarna
Bhari lagta hai do pal
Apne saath baithna
Subscribe to:
Posts (Atom)