Aaj desh ke rehnuma
Desh ke bure halat ko
Desh ki awaam tak pahuchane ke liye
Desh vyapi hartaal karenge.
Hartaal yani aaj kuch nahi hoga.
Han, base book ki gayi hai,
Logo ko kone kone se rajdhani tak lane ke liye,
Aur baso me lad ke tayyar hai log, dilli dekhne aane ke liye,
Kaha milta hai aisa mauka roz,
Bina tikit rassed ke ghumo rajdhani,
Hum awaam hai, awaam ke liye itna to karnge.
Kadakti dhoop hai,
Magar mahngaayi se jyada nahi marti hai dhoop.
Loo se to 10-15 log marte hai puri garmi me ,
Mahangayi har roz maar rahi hai.
Lekin desh azaad hai,
Kuch utha-patak hai mausam ki
Aur kuch antar-rashtriya bazaar ka prabhaav hai
Isliye sarkaar kuch nahi kar paa rahi,
Aisa akhbaar kehte hai.
Magar koi antar-rashtriya dabav nahi,
Hamare rehnuma hamari bhalayi me tatpar hai.
Sadhe saat fisadi ki dar hai badhne ki
Ye baat aur hai ki mere gaon me ab tak sadak nahi aayi.
Tana tani hai rajya aur Kendra ki sarkaro me,
Beech me football bani laat khati awaam,
Magar mahangayi kam ho rahi hai,
Aisa akhbaar kehte hai…
Kyoki desh azaad hai aur rehnuma
Hamare bhalayi ke liye tatpar hai.
To kya agar bijli ke khambe nahi lage,
Khambe to hai aur unpe netaji ki tasveer bhi hai,
To kya agar sadak nahi bani,
Shilanyas ka pathar hai aur uspe bhi netaji ka naam hai.
To kya, to kya agar desi daal nasseb nahi thali ko,
Canada ki daal kha ke hamari to teen peedhiya tript hai.
Ye baat aur hai ki sarkaar IPL ke pachde niptane me vyast hai,
Aur halaki school banana ke liye paise kam hai,
Commonwealth khelo ke liye paryapt matra me dhan uplabdh hai.
Sarkaari godaam khali, dalalo ke ghar bhare hue;
Magar desh azaad hai…
Isliye, ummed ka daaman nahi chodte hum.
To bhaiya, buse tayyar hai,
Dande ko tel pilayo aur tayyar ho jao,
Aaj chakka jam hai,
Bekari me ye bhi ek kaam hai.
Ham berozgar nahi, rajneetik karykarta hai,
Hamare haq, hamari zarurat hame pata hai,
Aaj sthiti vikat hai,
Par agar chal gaye to agli manzil party ka ticket hai.
Han bhai, dhool me phool khilenge,
Aaj nahi to kal, netaji hamse bhi milenge,
Aur koi mane na mane,
Humne akhbaar padha hai isliye ham mante hai,
Ki desh azaad hai aur hamare rehnuma tatparta ke saath,
Yudhstar par jute hai,
Par mausam ka mijaz kharab hai.
Kadi dhoop me to rehnuma bhi behosh ho kar girte hai,
Magar kisaan ka hal nahi rukta.
Lekin aaj nahi, aaj hartaal hai…
Aaj, sirf roti hi nahi hamare rajneetik haq ka sawal hai…
Phaad ke aankhe dekh lena,
Aaj neta ji sakshaat dikhenge
Aur koi kuch kahe,
Hum jaante hai ki desh azaad hai,
Aur sthiti me sudhaar hai,
Aisa akhbaar kehte hai.
dhool me phool khilenge,
ReplyDeleteAaj nahi to kal...