Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki....
Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani.
Thake hue pairo ko nayi rah ki si aas,
Aur gumshuda yaado me se ik naam ki talash.
Phir aankh me aakar kisi sapne ka atakna
Aur dil ka lalachna kisi anjan shay ki or...
Lakdi ke dhue pe saji bundo ki mekek bhigi si,
Bhigi sadak ke gaddho me pani si theri zindgi;
Guzre palo ko thamo to behti hui si zindgi...
Sab khone ka dar hai aur kal ke panno me band ik khushi.
Jane kyo aaj ye hawa guzri gali se aayi hai...
Jane ye kaise saath guzre pal ki khushboo layi hai
Phir se thake pairo me thirkan wahi purani,
Aur purane kitab ke panno me likhi ek aur kahani...
Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai;
Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...
Khawaab bikherte hain kali ki tarah
ReplyDeletemujhko udti hui khushboo ki zaroorat kya hai