Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Monday, April 25, 2011

Lamha

Benakab ho tamanna phir se, beparda ishq ankhe na churaye

Tere ghar se mere ghar tak, ek rasta to aaye...



Aankho pe neend ka bojh, aur khayalo ki besabri chain na lene de,

Khwabo ko takiye ke neeche rakh ke soye, khwabo ka dum na ghut jaye.



Ek lamha ho kahi, jisme kuch bhi na ho,

shayad us lamhe me khoye khud ka pata mil jaye.

Dilo me aag na ho, hawa ki tapish se aitaraz nahi,

Chand ko taak ke raat kaate, wo mausam phir se aaye



Main haath badhau to tera haath mile thamne ko,

Parchayeeyo ke peeche bhagne walo ki kismat ik baar palat jaye



Bhigi lakdi me dhua na ho, aur sanso me jalan na ho,

Sham ke aasman me tare ho, uljhan na ho,

kano me teri awaaz ho, khamosh hi sahi,

apne gum pe hansi aaye, khusi par afsos na ho…



Kaha janant ki tamanna thi, par zami to na cheene koi

Thirakne ko taraste kadam kahi chalna na bhool jaye...

3 comments:

  1. "...Kaha janant ki tamanna thi, par zami to na cheene koi

    Thirakne ko taraste kadam kahi chalna na bhool jaye..."
    That was beautiful !

    ReplyDelete
  2. thanks keyur... for reading and appriciating.

    ReplyDelete