Apni hi parchayi raat ke andhere se ghani samne khadi mili
Haath badha ke chune ki koshish ki suraj ko,
ungliya jail… aur roshni bhi nahi mili…
akele khud ko apni baho me samete, main raat dhallne ki raah dekhti rahi,
subah aayi, leking koi kiran meri khidki pe nahi utar payi…
aur phir intezar me ek boond dhoop ke, meri aankhe khsitij ko dhundhne lagi…
par na asman aur na hi zamin mere ankho ko mil sake…
aur raaten kat-ti rahi bekhabar si…
dhundhte hue asman ko nazre mili samne guzarti sadak se…
khidki se ek ungli bahar nikal ke, bahut der baithi rahi
shayad kai din, shayad kai saal…
ek ummid ki koi ungli pakdega,
aur main usse poochungi roshni ke ghar ka pata
magar badhawas sadko se, bas cheekhti tanhayee guzarti nazar aayi...
phir kaano ko hantho se band kar ke,
aankho ko zor se meech liya…
(band aankhe subah aur raat me fark nahi dekh pati…)
aur phir, barso se khoyi hansi, palko ke kinare utar aayi.
No comments:
Post a Comment