Kabhi kabhi dil me yun khayal aata hai,
ki ek lambi si saans ke baad ki khamoshi,
aur us khamoshi ki baad ka shor,
palke jhapakne pe pal bhar ka andhera,
aur phir roshni ka ek rela aata ankho ki or
kitab ke panne palate hue
aksharo aur shabdo ke beech do pal ka sannata
aur phir us sannate ko cheerte,
shabd bikhre charo or...
subah se shakh pe baithe, thake kuch patte
shakh se bichadne, aur zamin se dosti hone ke beech
kitni khalao se guzarte,
girte...
kisi phul ke murjhane ke baad ki dastan,
kisi koyle ke heera ban jane ki dastan...
kabhi kabhi,
wo ek pal jisme kuch nahi hota
wo likhe hue har pal se khas hota hai...
ek anjan shakal jo bhid me muskurati hai hume dekh k
ek alpviram, jo tute hue shabdo me
arth jodta hai...