Kabhi kabhi tejabi raate hoti hain...
Jab phulo ke rang os me dhul jate hain...
Daghdaar dil khud ko chand samajh baithta hai,
Par suraj ke bina bas amavas hi ban pata hai
Chirag khud ko tare maan lete hain,
Bhool jate hain magar aandhi se ladna unke bas ka nahi
Aur timtimate tare badal se haar kar,
Chup kho jate hain raat me kahi.
Wahin andhere ki agosh me kho kar,
Tute patte me simti ik bund khud ko sagar samajhti hai
... raste me pada paththar,
Himalaya hone ke khwab dekhta hai
Par agli subah dhoop sare bhed khol deti hai...
Aur din ka miraj, raat ke bhram se alag hota hai.
No comments:
Post a Comment