Wo kehte the kabhi zamin kabhi aasman milega
bas jo chaoge wo yaha nahi milega...
ye kaun sa naseeb hai dono se mehrum...
do bitta zamin jeb pe bhari padti hai...
do bitta aasman dekhne ko nahi milta,
ye muqaddar is sheher ka...
ghumshuda log aur anjaan chehro ki khali si bhid me
apna kehne ko ek chehra nahi hota
do pal nahi hote khud k hatho me...
ik saans nahi hoti apne bas me rakhne ko...
unche khwab aur unchi imaratien...
khokhli haqiqat aur khokhli imaratein
imartaon si zindagi...
eit-paththaron se likhi
berukhi kismat...
na ugta suraj apna hota hai,
na doobta...
mausam k badalne se calender pe mahine badalte hai
par dil nahi badalta...
is sheher me, na mitti milti hai,
na barish
na hi dhoop...
wo kehta the yaha pe bas mukammal jahan nahi milta,
magar tukro me tuta bhi hume to asara nahi milta...
kya zid kare kya mange is bedil sheher se hum...
yaha zami bhi nahi milti, aasman bhi nahi milta...
No comments:
Post a Comment