Bundo ki ruh jaise fiza me udti si hai...
Barish k baad ka ye dhua
lamppost se latka
hawa me atka...
Dhundhla thanda...
Ankho k aage os k parde sa...
Chhup nahi sakte iski ot me
chhu nahi sakte
ankho ki galti ya samajh ka pher bhi ho sakta hai ...
khoye pyar ki yaad sa...
na hoke bhi kahi gale me atka
koi dekhe koi dekh k bhi na dekh paaye
samajh k pare ek ehsas sa
sagar k beech kashti me pyaas sa
badalo ke khoye tukre sote hue zami pe
kisi shayar ki aankh me bhare jasbaat sa...
Bundo ki ruh hai,
barish phir se aayegi, to dhul jayegi...
Warna subah ki dhup ke saath
phir bund ban k
peshani pe utar aayegi...
No comments:
Post a Comment