Raat ki tanha talash ka tukra
Ek akela sa khwab hu main...
Adhura bojh lagu to bhi
Nazaro se girana nahi...
Thak bhi jayo agar meri tabeer ki talash me,
mere saath chalna, khayal jaan k bhulana nahi.
Na dekhi dhup na tare gine,
Na os ki chadar chhui, na dhundh ki shawl buni...
Anjani duniya hai tere aankho ke aage ki
Anjan meri nasamjhi se tum kahi chidh jana nahi.
Koi raah mere kadmo se judi nahi ab tak
Na kisi aur ke raste pe chalna sikha hai...
Tum agar dhundhte ho pairo k nishan mere kahi
Na mile to bhi dhundhna... thak jana nahi...
Mere naam ki koi shakal nahi hai ab tak
Mera wajood to hai... pehchaan abhi mili nahi
Koi mere bare me pooche, aur samajh na paaye
To bas khamosh ho jana... Samjhana nahi...
Mai teri chhaya hun ya tu mera humsaya hai
Kuch to hai ek sa hum me ki hum jude hai kahi
Tune ji aankho se duniya hai dekhi ab tak ki...
Main unhi aankho se kal ki shakal ko dekh aayi...
Tumhe jo ik jhalak dikhlau us kal ki apne
Sach janna usko...
Jhuth samajh hansi me udana nahi.
No comments:
Post a Comment