Khushbu ki diwaro ke piche
kuch sade ghosht ke tukre hai
murda lashe, zinda lashe
kuch khali khali dibbe hai
ik shakh hai rajnigandha to
ik dali pe chamgadar hai
ye bhi sach hai, wo bhi sach hai
jane tera ya mera hai...
Main ankho ko band kr lu kya?
Dar ke saye se darti hu
jalte taro ke pichhe chup ke
geet sajaya krti hu
par bojh meri awaz pe kuch hai...
dabi dabi reh jati hai.
un roshni wali subho me
soyi soyi reh jati hai.
Main bhi shayad rajnigandha hu
subah tak kho jati hu
Main kya taro ki chhaya hu
suraj aate chhup jati hu
Is resham se andhere me
ik band se kamre me simti
roshandan se chhalk giri
bhatki hui si ek kiran
kehne ka ujala, naam ka din
do chutki se bhi thodi dhoop
udhedti sapno ke chadar
main siti rehti hu aksar
thoda sa taant hai aaj ka
thode resham ke dhage hai
jodti hu lamhe, phir sajati hu
paiband lagi ek zindagi...
No comments:
Post a Comment