Anjaan falak se ya zami se ya ki khud se
bhatke se hai ya soye hai khwabo me khoye se
hum hain kahi kshitij se pare rehne walo me
hai khoj ik aaine ki jo mujh ko khoj le...
Tumko khabar na hogi ki kis haal se guzre
rato ko jalaya hai din bujhaye kai hain
badal ko udaya dhuye me sath suraj ke
pani me indradhanush ke rang dhudhte rahe..
Ik aisi hai kasak ki har pal mangti hai kuch
ek aisi tishnagi ki barishe bhi kam pade
koi bhed nahi sach me mere aur khwabo me hai mere
bas din ko jalane ko thoda aalav dhundhte hain...
No comments:
Post a Comment