Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Monday, July 14, 2014

shauk

मुझे तनहाई का कुछ शौक हो चला है पर,
अपनी परछाई से अक्सर मुँह चुराता हूँ...
कभी मजमें में तलाशे हैं हमशक्ल चेहरे;
कभी आईने को भी मुख़तलिफ़ सा पाता  हुँ.
कहाँ हमदर्द इस बेहिस शहर में मिलते हैं
अक्सर चेहरे को रंगो-साज से सजाता हूँ.
गैर बस्ती में ढूंढता हूँ तबीब कोई तो हो
रिसते ज़ख्मो को कुरेद कर मुस्कुराता हूँ


mujhe tanhai ka kuchh shauk ho chala hai par,
apni parchhayi se aksar muh churata hu...
kabhi majme me talashe hain humshakal chehre;
kabhi aaine ko bhi mukhtalif sa pata huN.
kaha humdard is behis sheher me milte haiN
aksar chehre ko rango-saaz se sajata huN...
gair basti me dhundhta hun tabeeb koi to ho...
riste zakhmo ko kured kar muskurata huN...


तबीब- doctor

No comments:

Post a Comment