Subah ke khwab se chura ke kuch bunde os ki... Maine sham ka daman bhrne ko saamaan jutaya hai.
Ehsas
Afsos bhi hota hai...
Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,
Aur hansi bhi...
Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,
Hansi hi aayi...
Aansu barish ban ke
Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,
Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.
About Me
- Saba
- Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...
Wednesday, December 26, 2012
Paiband lagi ek zindagi
Saturday, September 8, 2012
Friday, September 7, 2012
Ehsas...
Monday, July 16, 2012
Khandhar
Friday, June 29, 2012
Yado ke sheher mein...
Thursday, June 14, 2012
Khwabon k patthar
Wednesday, May 16, 2012
Sometimes...
Wednesday, April 18, 2012
Monday, April 9, 2012
The horizon...
The horizon deceives it's chasers...
It wears bright colours each morning...
And as the day grows old
The makeup fades...
And clouds that create rainbows
All become puffs of vapour
The Camouflage of colours... nothing but a mirage.
Fools... drowned in that romance
Follow the horizon to nowhere...
Never disillusioned they keep saying,
"Clouds when touched... disappear..."
Sunday, March 4, 2012
Mukammal
Wo kehte the kabhi zamin kabhi aasman milega
bas jo chaoge wo yaha nahi milega...
ye kaun sa naseeb hai dono se mehrum...
do bitta zamin jeb pe bhari padti hai...
do bitta aasman dekhne ko nahi milta,
ye muqaddar is sheher ka...
ghumshuda log aur anjaan chehro ki khali si bhid me
apna kehne ko ek chehra nahi hota
do pal nahi hote khud k hatho me...
ik saans nahi hoti apne bas me rakhne ko...
unche khwab aur unchi imaratien...
khokhli haqiqat aur khokhli imaratein
imartaon si zindagi...
eit-paththaron se likhi
berukhi kismat...
na ugta suraj apna hota hai,
na doobta...
mausam k badalne se calender pe mahine badalte hai
par dil nahi badalta...
is sheher me, na mitti milti hai,
na barish
na hi dhoop...
wo kehta the yaha pe bas mukammal jahan nahi milta,
magar tukro me tuta bhi hume to asara nahi milta...
kya zid kare kya mange is bedil sheher se hum...
yaha zami bhi nahi milti, aasman bhi nahi milta...
Saturday, February 18, 2012
Thehre...
do dhharein chhoti chhoti si,
do bundo ki dori si thi
thodi meri aankho se thi
thodi tere aankho se thi
do bandh banaye dono ne
kuch tum thehre kuch hum thehre...
na dekho tum to bhi aksar
ye baat sataya kart hai
chalte phirte har pal me kyo
wo yaad sataya karti hai?
Jab yun hi takrayi aankhe
aur kuch uljhi kuch pal thehri
phir ghabra ke tum bhi hum bhi
yun hawa me badal ginne lage
khwabo me bhi aana jana
ab rehne do yun takrana...
tum bhi tare ginna ab se
main bhi tare hi gin lungi
do baandh hai ab in dharo pe
tum bhi thehre hum bhi there
Sunday, February 5, 2012
Saturday, January 28, 2012
Sehra...
Thursday, January 5, 2012
sard hawa
Sari raat chhante rahe sard hawa...
Darwaze ke surakho se
dheeme se chal kar
sondhi si khushboo wali
bin bulaye mehman si...
jaise abhi abhi dhul ke aayi ho kisi barf k badal se
aur sidhe meri khidki pe utri
kuch bunde os ki saath le kar
chuchap utari meri mez par
subah tak, takiye ke saath seet ki kinari hoti hai
aur os ke moti khidki ke sheeshe ke baithe hue
bulate hai ek aur dillagi wali subah me...