गुलिस्ताँ खाख बीरानों को अब आबाद रखते हैं
कुछ ऐसे इश्क़ के इस दौर का आग़ाज़ करते हैं.
मेरी सांसों में घुल कर के महक उठे मौसिकी सी,
तेरे आशारों को आ कुछ अता आवाज़ करते हैं …
मुक़दर खाख हो फिर भी न पत्थर बन रहे कोई,
नाम मिट्टी के टीलों के अब इक परवाज़ करते हैं।
उनके बेबात फितरों से रश्क़ जो था उसे छोड़ो,
तुम्हारे शहर को वापस वही हसास करते हैं।
वो पढ़ लेते अगर हमको तो फिर अफ़सोस ही क्या था.…
और हम उनकी नज़र ये खोखले अलफ़ाज़ करते है.…
Gulistan khaakh, beerano ko ab abaad karte hain
Kuch aise ishq ke is daur ka aghaaz karte hain,
Meri awaaz me ghul kar mehek uthe mausiki si...
Tere asharo ko aa kuchh ata awaz karte hain.
Muqaddar khaakh ho phir bhi na paththar ban rahe koi,
Naam mitti ke tilo ke ab ik parwaaz karte hain.
Unke bebaat fitro se rashq jo tha use chhodo,
Tumhare sheher ko wapas wohi hasaas karte hain.
Wo padh lete agar humko to phir afsos hi kya tha,
Aur hum unki nazar ye khokhle alfaaz karte hain.
No comments:
Post a Comment