Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Wednesday, May 19, 2010

Raat ke kinare




Maine kholi jab kiwadi raat ki,
Dhue ke saath kuch khab bhi ud gaye…



Abhi bas bhor ki khat khat se khuli thi ankhe,
Abhit tak raat ke takiye pe hi padi thi main.
Abhi to bujh bhi na payi yhi shama sham ki,
Abhi to udte jugnuon ke par bhi na gine.

Abhi main sochti thi kaise bulau unko,
Koi pairon ke nishan ret par mile bhi nahi.
Abhi to tinka tinka jodti thi yado ko,
Abhi is pal ki parat bhi kaha uteri thi…

Magar kuch sochti tab tak hi darwaza khatka,
Subah ki dhoop mere khabo ko le udi.


Dream





A whisper from the night and a scream from the day,
My eyes are full of dreams don’t ask me to wake up
I worte a name on my pillow last night...
Let me read it once before I leave my bed.
In fragments I remember my dreams from the night that went,
Let me arrange the fragments before they are lost in time.
Don’t ask for an abrupt departure
If you have to go, make it slow,
Give me time to gather the moments left behind…
That night was a dream I know,
But let me live the dream for a while before I wake up…

Sunday, May 9, 2010

Aaina

Zamane ki bheed me khud ko khone wale,
Tumhari ek tasveer maine ab bhi saheje Rakhi hai

Kahi beete zamane me mere jaise hi the tum bhi
Wo tumko yaad na ho maine sambhala hai us pal ko

Yu to aaina wqt kaid kar ke rakh nahi sakta
Magar sheeshe me is dil k tumhari shakl na badli

Kabhi khud ko samajhna ho to mere paas aa jana
Main khud ko bhul kar baithi hun par tumko nahi bhuli

Tumhare paas meri yaad na ho to bhi aa jana
Main teri yaado me apni nishani dhund sakti hu

Tumhare khat me hai kushboo tumhare hatho ki ab tak
Agar apni likhwat dekhni ho mujhko batlana


Junoon wo tha tumhara tut sakta hai nahi gam hai
Mera to dard tha main bhul ke bhi ji nahi sakti.

Hartaal


Aaj desh ke rehnuma
Desh ke bure halat ko
Desh ki awaam tak pahuchane ke liye
Desh vyapi hartaal karenge.

Hartaal yani aaj kuch nahi hoga.

Han, base book ki gayi hai,
Logo ko kone kone se rajdhani tak lane ke liye,
Aur baso me lad ke tayyar hai log, dilli dekhne aane ke liye,
Kaha milta hai aisa mauka roz,
Bina tikit rassed ke ghumo rajdhani,
Hum awaam hai, awaam ke liye itna to karnge.

Kadakti dhoop hai,
Magar mahngaayi se jyada nahi marti hai dhoop.
Loo se to 10-15 log marte hai puri garmi me ,
Mahangayi har roz maar rahi hai.
Lekin desh azaad hai,
Kuch utha-patak hai mausam ki
Aur kuch antar-rashtriya bazaar ka prabhaav hai
Isliye sarkaar kuch nahi kar paa rahi,
Aisa akhbaar kehte hai.
Magar koi antar-rashtriya dabav nahi,
Hamare rehnuma hamari bhalayi me tatpar hai.
Sadhe saat fisadi ki dar hai badhne ki
Ye baat aur hai ki mere gaon me ab tak sadak nahi aayi.
Tana tani hai rajya aur Kendra ki sarkaro me,
Beech me football bani laat khati awaam,
Magar mahangayi kam ho rahi hai,
Aisa akhbaar kehte hai…
Kyoki desh azaad hai aur rehnuma
Hamare bhalayi ke liye tatpar hai.

To kya agar bijli ke khambe nahi lage,
Khambe to hai aur unpe netaji ki tasveer bhi hai,
To kya agar sadak nahi bani,
Shilanyas ka pathar hai aur uspe bhi netaji ka naam hai.

To kya, to kya agar desi daal nasseb nahi thali ko,
Canada ki daal kha ke hamari to teen peedhiya tript hai.
Ye baat aur hai ki sarkaar IPL ke pachde niptane me vyast hai,
Aur halaki school banana ke liye paise kam hai,
Commonwealth khelo ke liye paryapt matra me dhan uplabdh hai.
Sarkaari godaam khali, dalalo ke ghar bhare hue;
Magar desh azaad hai…
Isliye, ummed ka daaman nahi chodte hum.

To bhaiya, buse tayyar hai,
Dande ko tel pilayo aur tayyar ho jao,
Aaj chakka jam hai,
Bekari me ye bhi ek kaam hai.
Ham berozgar nahi, rajneetik karykarta hai,
Hamare haq, hamari zarurat hame pata hai,
Aaj sthiti vikat hai,
Par agar chal gaye to agli manzil party ka ticket hai.

Han bhai, dhool me phool khilenge,
Aaj nahi to kal, netaji hamse bhi milenge,
Aur koi mane na mane,
Humne akhbaar padha hai isliye ham mante hai,
Ki desh azaad hai aur hamare rehnuma tatparta ke saath,
Yudhstar par jute hai,
Par mausam ka mijaz kharab hai.
Kadi dhoop me to rehnuma bhi behosh ho kar girte hai,
Magar kisaan ka hal nahi rukta.
Lekin aaj nahi, aaj hartaal hai…
Aaj, sirf roti hi nahi hamare rajneetik haq ka sawal hai…
Phaad ke aankhe dekh lena,
Aaj neta ji sakshaat dikhenge
Aur koi kuch kahe,
Hum jaante hai ki desh azaad hai,
Aur sthiti me sudhaar hai,
Aisa akhbaar kehte hai.

Tumhare sheher mein


Do bitta zameen chahiya aur roti do waqt ki,
Tumhara sheher bahut bada hai par itna bhi nahi hai.

Meri aankhe badi budhi nahi dikhta hai ab kuch bhi
Magar main dekhta hu tez chalti is sadak ke chhor
Aati jaati gadiyo ka shor
Jagti aankhe aur tadapte badan
Raat se din tak bechain tadapte man
Ummedo ki jagah dhue se lipti rato ka sach bhi
Meri budhi si aankho ne hai dekhe andhere din

Guzarte hai watan ke rehnuma har roz in sadko se
Yahi pe main bhi meri kyo khabar kisi ko na hui
Kaha unke liye milo tak resham bunte hai sab log
Mujhe to tat ka bistar bhi mayassar nahi hota

Thursday, May 6, 2010

Dillagi


Chalta rahe agar to safar warna dillagi,
Ae zindgi ab khud tu meri nazar se dekh...

Jo manzilo se age ja sake hai wo rasta,
Tu ab meri rafter me kuch dheere chal k dekh.

Shabo-seher kai jala ke raakh ki maine,
Is ki lehek me tu bhi karwate badal ke dekh.

Meri tarah se rona kabhi tum ne na seekha,
Meri tarah hasne ka gur la ke amal me dekh.

Dekhe hai tamashe kai tumne bhi yaha pe,
Ban ke tamash aaj tu apni shakal bhi dekh...