Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, May 6, 2011

Uljhan

Koi bechaini si dil me hai ek zunoon hai kahin,
chain ummeed me nahi hai aarzoo bhi nahi.



Saans aati nahi aur na hi karaar aata hai,
aur is besabab bechaini se gila bhi nahi.



Na tapish hai na to thandak magar ek had ye bhi,
jane kyo raat apni, din begana nazar aata hai


Kisi aalim ne kaha man ki khata hai ye bhi,
phir bhi samjhaye se ye man na smajah pata hai.



Ek lakir khdiye se khichi aur mit bhi gayi,
man magar phir bhi sarhado me bandha jata hai.



Yun to bandhan main saare chod aayi sadiyo se,
jane kyo khulne ka nafas na ab bhi aata hai.



Mujhko kyo tane dete ho ki ruki kyo ho...
Mere pairo me bandha ab bhi ek wada hai.



Aur ud k bhi mere pankh gar khule hai nahi,
seem o zar ka ye bojh in pe kuch jyada hai...

2 comments:

  1. Hey! I'm a little late, i guess. I was thinking about the title since last two days. It was really difficult to come up with a title, given my poor vocab. But still i feel that 'Uljhan' would be apt. Keep it if you like.

    ReplyDelete