Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Tuesday, October 18, 2011

Chand ki Mehfil

Meri dehliz pe kyo chand utar aata hai
main rokti hu use phir bhi idhar aata hai
wo janta hai uski mehfile chubhti hai mujhe
mujhe chidhane ko har roz magar aata hai

main dhue se kar k parda nazar churati hun
wo magar cheer k parde pukarta hai mujhe
kaisi yaari hai ki marzi hai uski mera kya
meri bato ko ansuna sa karta jata hai

uski zid hai ki kuch to arz karu uski nazar
ye jaan k ki khamoshi ke naam raat likhi
phir bhi ladta hai roz roop naye dharta hai
aankh pe rukta nahi dil me aa utarta hai

main hansu ya ki rou zid pe aa k baitha hai
ek masoom si ada hai, na kahu kaise
do lafaz bol du ki behle aur so jaye
wo magar puri ghazal ki zid pakadta hai

jeeta hai chaand ya khamoshi meri hansti hai
jane kyo aaj yaha chandani chahakti hai...
Meri gali me dhoop chao ke khel ke baad
aksar chup chap chand ki mehfil jamti hai...

No comments:

Post a Comment