Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Wednesday, November 30, 2011

Kabhi kabhi



Kabhi kabhi dil me yun khayal aata hai,

ki ek lambi si saans ke baad ki khamoshi,

aur us khamoshi ki baad ka shor,

palke jhapakne pe pal bhar ka andhera,

aur phir roshni ka ek rela aata ankho ki or

kitab ke panne palate hue

aksharo aur shabdo ke beech do pal ka sannata

aur phir us sannate ko cheerte,

shabd bikhre charo or...

subah se shakh pe baithe, thake kuch patte

shakh se bichadne, aur zamin se dosti hone ke beech

kitni khalao se guzarte,

girte...


kisi phul ke murjhane ke baad ki dastan,

kisi koyle ke heera ban jane ki dastan...

kabhi kabhi,

wo ek pal jisme kuch nahi hota

wo likhe hue har pal se khas hota hai...


ek anjan shakal jo bhid me muskurati hai hume dekh k

ek alpviram, jo tute hue shabdo me

arth jodta hai...

No comments:

Post a Comment