Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, February 7, 2014

नींद के परे


सुर्ख आँखें लिये बैठा है सूरज 
तेरी भी रात क्या जागी रही थी?
डुबाने शम्स को साग़र खड़ा था,
तुम्हारी आग क्यों ठंडी पड़ी थी?

शमा ने दिल दुखाया था तुम्हारा,
या कि तारों से अनबन हो रखी थी  … 
सहर भी सहमी सी आयी है घर में 
कहीं क्या राह में भटकी रही थी?

मलाल कुछ नहीं तनहा से थे बस 
एक लम्हे कि लाश उठ रही थी 
मेरी आँखों से ख्वाब खो गए थे 
तुम्हारे घर भी क्या चोरी हुई थी?

खुदाया ख़ैर की कितनी दुआ की,
खुदाई नींद में डूबी पड़ी थी,
मेरी खातिर दुआ पढ़ देता कोइ… 
टूटे शीशों की पर किसको पड़ी थी.





Surkh ankhein liye baitha hai suraj 
teri bhi raat kya jagi rahi thi? 
Dubane shams ko sagar khada tha, 
tumhari aag kyo thandi padi thi? 

Shama ne dil jalaya tha tumhara, 
ya ki taro se anban ho rakhi thi... 
Seher bhi sehmi si aayi hai ghar me 
kahi kya raah me bhatki rahi thi? 

Malal kuchh nahi tanha se the bas, 
ek lamhe ki laash uth rahi thi; 
Meri aankho se khwab kho gaye the, 
tumhare ghar bhi kya chori hui thi? 

Khudaya khair ki kitni dua ki, 
khudai neend me dubi padi thi, 
meri khatir dua padh deta koi, 
tute sheesho ki par kisko padi thi... 

No comments:

Post a Comment