Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Tuesday, April 20, 2010

Bebasi

Badi bebasi hai, kahi kho gayi hai
Wo duiya jaha ankh kholi thi maine
Wo galiya, wo raste, wo ghar wo dukane,
Nahayi hui dhool me garm shame
Wo thandi bayare bhari chandni me
Wo loo k thapedo me thande se kamre.

mai june me jab paseena tapakta
kati bijli me mombatti jalana
thahako ki mehfil me garmi bhula k
purani kisi film k gane gana
bade besure rag lagte the lekin
dadi hamesha bajti thi tali
waha jaan k khud ko rani suro ki
andhere me khud pe zara itrana.

Kaha hai mayassar tang shehro me chhat ab
Wo tha daur jab chhat pe din raat beete
Kabhi dhoop aur kabhi badal udaye
Kabhi barishe kabhi jugnoo sajaye
Bhare sapno wali wo nadaan aankhe
Kshitij me thikana kahi dhundhti thi.

Khud ko shehenshah samajh k gali ka
Sadak ko khel ka maidan banana
Bina bole ghar me gali me bhag jana
Phir der sham tak bahar rehne ka shauk
Chaar baar bulane par man masos kar
Dhali sham ghar me aana
Phir padhai se bachne k bahane dhundna
aur jab koi bahana kaam na aaye…
table pe baith k khayali patang udana.

Teen rupaye ki ice cream k liye,
Terah logo ki sifarish,
Do manzil k ghar me
Upar neeche, kahi to koi mile;
School ho ya ghar, pdhne ki zarurat nahi
Wo to bado ka sirdard tha ki kaise padhaye

Bas ek dar us bachpan ka,
Report Card…
Result k pehle k wo din
Har roz agarbatti jalan….
Par dant k alava kabhi fail karne me koi aur dar nahi laga…
Aaj, zindgi har roz imtehan leti hai,
Besure gano ki tariff koi nahi karta,
Aur kshitij ki sachchai bhi pata chal chuki hai…
Ab fail hone pe dant nahi padti,
Par dar lagta hai
Kyoki aur koi rasta nahi
Yaha class repeat nahi hoti,
Fail ka matlab hamesha k liya fail.
Koi apni gali nahi,
Aur ghar me bhi sab badla badla sa hai
Purane chehre ab pados me nahi dikhte
Na hi wo gali hai pehle jaisi.
Mera apna sheher mujhe anjaan lagta hai,
Sochti hu ki kya wo sach tha meri zzindgi ka jo guzar gaya
Ya ye hai jo aaj hai…
Ya phir dono hi sach hai..
Main ghar ko chod k bhi chod nahi paayi
Aur raste pe chal k bhi chal nahi rahi…
Meri manzil abhi bahut door hai;
Aura b to apna ghar bhi dur nazar aata hai

2 comments:

  1. Hummm kya baat ....kya baaatt...kya baaat

    ReplyDelete
  2. yaar anjali.....you've made me nostalgic.....all the days spent at your home is playing like a movie in front of my eyes

    ReplyDelete