Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Saturday, April 24, 2010

Saba...


Photo courtesy: Sandip Bhattacharya






ye rang hai ki dhoop hai
khili hai ya bikhar gayi
hai os ya ki dhundh hai
udi hai ya utar gayi

kisi ki ankho se ude,
kisi pe aa utar gaye
ye sapne hai ki titliya
hai hanste ya ke dar gaye

bandhe nahi khule nahi
ruke hai ya guzar gaye
ye lamhe hai ki ret hai
hai phisle ya teher gaye

kadam k hai nishan ye
ya chaav hai ummed ki
hai laute ya he gumshuda
safar pe hai ya ghar gaye



4 comments:

  1. very nice...best part is.."bandhe nahi khule nahi
    ruke hai ya guzar gaye
    ye lamhe hai ki ret hai
    hai phisle ya teher gaye"....bade shaayar hau!Keep it UP!

    ReplyDelete
  2. Boss you are great.

    ye lamhe hai ki ret hai
    hai phisle ya teher gaye.

    ReplyDelete