Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Saturday, June 5, 2010

Ankahee


Nam si bayaar me bhi kyo ek aag hai chhupi
Jane ye bunde os hai ya roya hai koi

Khamoshi me kyo shor si awaz hoti hai
Jane khayal kiska hai sone nahi deta

Chup chap yaha log sare jeete bewajah
Is bheed me kisi ka koi naam nahi hai

Benaam main bhi ho ke kahi kho gayi agar
Jugnoo ke peeche chal ke mujhe dhundhne aana

Gar na milu to bhi na bhulna meri yade
Subah nahi to raat ke darwaze milungi…

No comments:

Post a Comment