Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Friday, June 4, 2010

Humsaya


Koi saye ka daman tham ke chalta hai kahi
Humne parchaiyo ke pheeche safar mapa hai…

Koi kadmo ke nishan kabhi mile hi nahi
Jaise pairo ko badalo se aaj dhaapa hai

Jhoko ke saath ud na jaye kahi humsaya
Humne parchayi ko resham se aaj bandha hai

Kachche dhago ki tarah kachchi samajh bhi hai abhi
Kaise batlaye is safar ka kya irada hai

Rehna chup chap tum bhi meri tarah subah tak
Raat ke saath aaj guftgu ka vada hai…

Tum na chal payo mere saath to bhi gam hai nahi
Meri tanhai teri dosti se jada hai

No comments:

Post a Comment