Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Wednesday, August 3, 2011

Raat


jane kyo raat mujhe din jaisi lagti hai...


thanke hue sab musafir apne apne ghar gaye...

panchi bhi so gaye, raste bhi so gaye

thak kar chupa hai chand bi, badal bhi so gaye

phir taro ki ungli pakad ke tanha hum chale...

na unch neech na dharam, na bhed dikhte hai...

raat ki aaghosh me sab ek dikhte hai

patthar ki chadar pe bhi sapne aate reshami,

aur band aankho me bhi aksar din utarta hai...


par jalti hui aankhe, kaise chain ki chadar odhe....

raat din se haseen hai, iska daman kaise chore....


Sab bhool jaye to bhi ik baat ya bhi hai...

Ye raat dilruba nahi par humsafar to hai.

No comments:

Post a Comment