Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Sunday, August 28, 2011


Ik khayal k jhoke me

Teri yaad hai adhuri...

Udti khushbu si,

Maujud har taraf,

Par hasil kuch nahi...


Mogre ki safed jhalak...

Ya gulmuhar ki lali...

Kohre me lipti sham si

Ek shakh patjhad si...


Puchti hu khud se kabhi kabhi

Umeed kyo na ho?

Tu guzra waqt to nahi ki mud k aa nahi sakta


No comments:

Post a Comment