Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Tuesday, September 13, 2011

Inteha

Ik inteha hai yeh bhi ki ab tak intezar hai,

is rah ki waise to manzil kahi nahi...


Ankhe thake bhi haar k sapne nahi thakte,

din ki kasauti pe inki kimat yun kuch nahi.


Hatho se dhanpte hai ankhe chand se chupne...

Chubhti hai ankho me teri tasveer chand me.


Jalte charago ko bujha khud ko jalaya hai...

Yun to ujalo se bhi ab ummed kuch nahi.



No comments:

Post a Comment