Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Tuesday, September 6, 2011

Photo by: Anjali Ojha

Koi khushbu nahi faza me magar...

Tere tasavvur se mehki raat me soye kaise...


Meri tanhalyi ka sabab teri yade hi to hai...

Teri yado se saji raat me soye kaise....


Aise kitni jalayi raate kitne din khoye....

Rakh me sulgi hui raat me soye kaise.


Udte badal me bawandar hai chupa bund nahi ...

Jaante hai hum ye baat to soye kaise.


Jite to hain magar gin paye na apni sanse...

Aise uljhe hue halat me soye kaise...


Khoyi aankho se pata subah ka puchche kaise...

Besabab behte hai jsbat hum soye kaise...




No comments:

Post a Comment