Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Sunday, April 28, 2013

so jate hain chalo






लाओ  सारी आहटें समेट कर 
इस रात की चादर में ख़ामोशी से सिल दो… 
लाओ सारी हरकतें दिन भर की 
और बांध लो सारी करवटें 
आधी रात जब चराग 
अपनी उम्र जी चुके होंगे 
एक एक तह लगा कर रखते जाना 
वो शिकवे, वो मुस्कुराहटें,
वो  लम्हे, वो लम्हों के आने की आहटें ...
गिन गिन के जोड़ी दिन भर की थकावटे 
और भीड़ में तनहा रुसवा मेरी चाहतें .
सब एक साथ जोड़ कर 
उसमे थोडा पैबंद टूटे ख्वाबों का ...
एक रजाई बनाते हैं चलो 
और जागने का दिल नहीं करता 
आज तारों  छुट्टी दे कर 
सो जाते हैं चलो ...





Lao sari aahatein samet kar
iss raat ki chadar me khamoshi se 
sil do...
Lao sari harkatein din bahr ki
aur bandh lo sari karwatein
aadhi raat jab charag apni umra
ji chuke hone
ek ek teh laga kar rakhte jana
wo shikve, wo mukurahatein
wo lamhe, aur lamho ke aane ki ahaatein
gin gin ke jodi din bhar ki thakawatein
aur bhid me tanha ruswa meri chahatein...
Sab ek sath jod ke,
usme thoda aur paiban tute khwabo ka...
Ek rajai banate hain chalo
aur jagane ka dil nahi hai
aaj taro ko chhutti de 
so jate hain chalo

No comments:

Post a Comment