Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Sunday, May 5, 2013

Gulmuhar





जलते गुलमुहर की छांव मे
बिखरे ख्वाबों के सिंदूरी पत्तों मे
एक फूल ढूँढती हुं
जो शाख़ से टूट कर भी
बिखरा ना हो।।।

ये रंग इतना सुर्ख कैसे है?
शायद ढलते सूरज से चुराया होगा
या किसी दूर के राही को भटकाने के लिए
फ़रिश्तो ने ये जाल बिछाया होगा ...

बेवजह तो नहीं खिलते हैं ये गुलमुहर
किसी रंग साज़ ने खून--दिल से
पहले रंग बनाया होगा
और फिर किसी शायर की कलम ने उसपर
जलते हुए अल्फाजो का नूर सजाया होगा ...

या शायद किसी आशिक ने
बस नाम ले लिया होगा महबूब का
या किसी बच्चे के ख्वाबो के ताबीर मे
ये गुच्छा जन्नत से खुद आया होगा .

धूल की गोद से उठ कर
फिर उसी खाख में खो जाते हैं
ये रंग, जाने कैसे खिलते है
बेबाक, बेपरवाह हो कर भी शरमाते हैं

शायद इसके दफन है कई इश्क के अफ़साने
रोज़ गिर कर जिन्हें ये सुर्ख पत्तिया सजदा करती हैं

अगली बार जब मेरे घर आना उस रस्ते कसे चल कर
इक शाख गुलमुहर से ले आना कुछ फूल चुन कर…





Jalte gulmuhar ki chhaon me
bikhre khwabo ke sinduri patto me
ek phool dhundhti hu
jo shakh se tut kar bhi
bikhra na ho...

Ye rang itna surkh kaise hai?
Shayad dhalte suraj se churaya hoga
ya kisi dur ke rahi ko bhatkane ke liye
farishto ne ye jaal bichaya hoga...

Bewajah to nahi khilte hain ye gulmuhar
kisi rang saaz ne khun-e-dil se
pehle rang banaya hoga
aur phir kisi shayar ki kalam ne uspar
jalte hue alfazo ka noor sajaya hoga...

Ya shayad kisi ashiq ne
bas naam le liya hoga mehboob ka
ya kisi bachche ke khwabo ki tabeer me
ye guchcha jannat se khud aaya hoga.

Dhul ki god se uth kar
aur phir usi khaakh me kho jate hain
ye rang, jane kaise khilte hai
bebaak, beparwah ho kar bhi sharmate hain...

Shayad iske niche dafn hai kai ishq k afsane
roz gir ke jinhe ye surha pankhudiya sajda krti hain

agli baar jab mere ghar aana us raste se chal kar
ek shakh gulmuhar se le aana kuch phul chun kar.



No comments:

Post a Comment