Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Wednesday, October 26, 2016

बोल

बस बहुत हो चुका,
आँधियाँ और मत चलाओ
गर बारिश का वादा ना दे सको
बादलों को इस बरस मत बुलाओ.

ओस फूलों पे बिछने दो,
नशे में क्यों न गुलशन हो...
बातें तौबा की छोड़ दो,
कुफ़्र सा कुछ तो कर जाओ.

शायरों की मज़ारों पर
ख़ला गाती है जब नग़मे,
शमा कहती है फ़िर हँस के,
गीत कोई नया गाओ.

सबब ख़ामोशी का हो क्या
कायदा बंदगी का क्या,
ज़ुबान चुप, मर ही जाएगी,
हो ज़िंदा तो बता जाओ.

रंग स्याही दीवारों पर
ख़ून है आस्तीनों पर,
बहा दो इनको गंगा में,
या धुल सके, तो धो लाओ.

नए पन्ने, पुरानी बात,
क़ाग़ज़ी , आसमानी बात,
दौर अब तो नया लिख दो,
हर्फ़ बदल सको, तो कलम उठाओ.

~सबा


Bas bahut ho chuka,
Andhiyan aur mat chalao...
Gar barish ka vada Na de sako.
Badalon ko is baras mat bulao.

Os phulon pe bichhne do,
Nashe me kyo Na gulshan ho,
Batein tauba ki chhod do...
kufra sa kuchh to kar jao.

Shayaron ki mazaron pe,
Khala jab gati hai nagme,
Shama kehti hai phir hans ke...
Geet koi Naya gao...

Sabab khamoshi ka ho kya?
kayda bandagi ka kya?
Zuban chup mar hi jayegi;
Ho zinda to bata jao.

Rang syahi diwaron pe...
Khoon hai aastino pe...
baha do inko ganga me,
Ya dhul sake, to dho lao.

Naye panne, purani baat,
Kaghazi, asmani baat...
Daur ab to Naya likh do,
Harf badal sako to kalam uthao.

~Saba

No comments:

Post a Comment