Ehsas

Ehsas ke saath

Afsos bhi hota hai...

Gar ehsas zinda hai to aansu bhi aate hai,

Aur hansi bhi...

Maine to jab bhi koshish ki rone ki khud pe,

Hansi hi aayi...

Aansu barish ban ke

Man ki sukhi mitti ko khushboo se sarabor kar jate hai,

Aur banjar ho chuki dharti par andekhe phul khil aate hai.

About Me

My photo
Kagaz ke phoolo me mehek purani kitaab ki.... Zang lage guitar ke taar, aur dhun ek jaani pehchani... purani. Log kehte hai ki safar hai, par sab makaam dhundhte hai; Subah chale the, sham tak koi rah hume bhi dhundh legi...

Tuesday, October 11, 2016

Ye umr ladakpan hai na peeri
Tehzeeb ke kis aaine me ab
Khud ko talashenge?
Na beadab kaha kabhi duniya ne khul kar
Na kabhi begunahi ki koi gawahi di
Na mera dost hi ban ke chale riwaz tere
Na kabhi muzamat ki khul kar koi nishani di...
Badi safeeri (diplomatic) hai adat tere mashare (society) ki
Kabhi na samne utra mukhalfat me koi
Ek beshakl bheed hai, ankahe fitre hain
Aur is shor me meri talab hai khamoshi ~Saba

(From 2013) 

No comments:

Post a Comment